Monday 16 June 2014

Chor, Police and Adalat


Possibly the only statute ever referred to in hindi movies is the Indian Penal Code with its sections 420 (Cheating) and 302 (Murder). Presenting 25 common lines said in a crime set up.

  1. "Main chor nahi hoon. Maine chori nahi ki"
  2. "Chaar Sau Beesi karte hua tumhe sharam nahi aati"
  3. "Main khooni nahi hoon. Maine kissika khoon nahi kiya"
  4. "Tumne ek sangeen jurm kiya hai"
  5. "Seeta ke khoon ke ilzaam mein hum tumhe giraftar karte hain"
  6. "Tumhe chaar o taraf se gher liya gaya hai. Apne Apne hathiyar phenkke bahar aa jao"
  7. "Kanoon ke haath lambe hote hain"
  8. "Main Bekasoor hoon. Mujhe phasaya gaya hain"
  9. "Hands up. You are under arrest"
  10. "Adalat ki karvahi shooru ki jaye"
  11. "Jis wakt khoon hua, us wakt tum kahan the"
  12. "Order Order"
  13. "Silence"
  14. "Mulzeem ko pesh kiya jaye"
  15. "Mulzeem Vijay hazeer ho"
  16. "Main Gita pe haath rakh kar kasam khata hoon ke jo bhi kahoonga sach kahoonga aur sach ke siwa kuch nahi kahoonga"
  17. "Jhoot bolne ki sazaa jante ho"
  18. "Objection Milard"
  19. "Mere kaabil dost yeh bhool rahe hain ke mulzeem ne khood kabul kiya hai ke us raat woh Seeta devi ke kamre me tha"
  20. "Objection Overruled"
  21. "Objection sustained"
  22. "You may proceed"
  23. "Tamam sabooton ko madde najar rakhte hooain aur vakilon ki daleele sun kar yeh adalat is natije par pahoonchi hai ke mulzeem vijay bekasoor aur nirdosh hai aur use iss mamle main phasaya gaya hain. Adalat usse ba izzat bari karte hue police ko aadesh deti hain ke who asli muljeem ko jald se jald pakad kar iss adalat mein pesh karein"
  24. "Mulzeem Ajay ko yeh adalat doshi mante hue dafa 302 ke tahet marte dum tak phaansi ki sazaa sunaati hai"
  25. "The Court is adjourned"

Saturday 14 June 2014

20 Things that Doctors say in Hindi Movies - a Life to Death Cycle



1.      "Badhayee ho. Aap Maa banne wali ho"

2.      "Garam Paani lekar aao"

3.      "Aap ko Beta hua hai"

4.      "Ghabrane ki koi baat nahi. Mai dawaee likh deta hoon. Inhe samay per dete rahiye"

5.      "Inhe dil ka daura pada hai"

6.      "Aapko poore aaram ki jaroorat hai"

7.      "Inko jald se jald aspatal leke jana padega"

8.      "Khoon kaffee behe chooka hai"

9.      "Inhe khoon ki sakt jaroorat hai"

10.  "Aap mein se mariz ke rishtedaar kaun hai"

11.  "Mein kuch dawaain likh deta hoon. Unka jald se jald intezaam keejeea"

12.  "Hame inka operation karna padega"

13.  "Operation ka kaafee kharcha hai. Aap paison ko intejaam kijiye varna kuch bhi ho sakta hain"

14.  "Nurse operation ke tayyari karo"

15.  "Scissor"

16.  "Operation successful raha"

17.  "Inhe dawa ki nahi dua ki jaroorat hai"

18.  "Hum poori koshish karenge"

19.  "Hum ne poori koshish ki lekin mariz ko bacha nahi sake"

20.  "I am sorry"
>